ayan donon se takmil-e-jahan hai
zamin gum ho to phir kya aasman hai
tilsmati koi qissa hai duniya
yahan har din nai ek dastan hai
jo tum ho to ye kaise man lun main
ki jo kuchh hai yahan bas ek guman hai
saron par aasman hote hue bhi
jise dekho wahi be-saeban hai
kisi dharti ki shayad ret hogi
hamare waste jo kahkashan hai
agar tha chand-roza mausam-e-gul
to phir do chaar hi din ki KHizan hai
jise umr-e-rawan kahte hain 'amabar'
chalo dekhen kahan tak raegan hai
Ghazal
Ayan donon se takmil-e-jahan hai
Ambareen Haseeb ambar