auron ka tha bayan to mauj sada rahe
KHud umr bhar asir-e-lab-e-muddaa rahe
misl-e-habab bahr-e-gham-e-hadsat mein
hum zer-e-bar-e-minnat-e-ab-o-hawa rahe
hum us se apni baat ka mangen agar jawab
lahron ka pech-o-KHam wo khaDa dekhta rahe
aaya to apni aankh bhi apni na ban saki
hum sochte the us se kabhi samna rahe
gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane
jangal mein hum amanat-e-baad-e-saba rahe
surKHi bane to KHun-e-shahidan ka rang the
raushan hue to mashal-e-rah-e-baqa rahe
'amjad' dar-e-nigar pe dastak hi dijiye
is be-karan sukut mein kuchh ghalghala rahe
Ghazal
Auron ka tha bayan to mauj sada rahe
Amjad Islam Amjad