aur to kuchh na hua pi ke bahak jaane se
baat mai-KHane ki bahar gai mai-KHane se
koi paimana laDa jab kisi paimane se
hum ne samjha ki pukara gaya mai-KHane se
do nigahon ka jawani mein hai aisa milna
jaise diwane ka milna kisi diwane se
dil ki duniya mein sawera sa nazar aata hai
hasraten jag uThi hain tere aa jaane se
dil ki ujDi hui haalat pe na jae koi
shahr aabaad hue hain isi virane se
jalwa-gar aaj unhen bhi sar-e-mimbar dekha
jin ko dekha tha nikalte hue mai-KHane se
dar-o-diwar pe qabza hai udasi 'nazir'
ghar mera ghar na raha un ke chale jaane se
Ghazal
Aur to kuchh na hua pi ke bahak jaane se
Nazeer Banarasi