aur to KHair kya rah gaya
han magar ek KHala rah gaya
gham sabhi dil se ruKHsat hue
dard be-intiha rah gaya
zaKHm sab mundamil ho gae
ek daricha khula rah gaya
rang jaane kahan uD gae
sirf ek dagh sa rah gaya
aarzuon ka markaz tha dil
hasraton mein ghira rah gaya
rah gaya dil mein ek dard sa
dil mein ek dard sa rah gaya
zindagi se talluq mera
TuT kar bhi juDa rah gaya
hum bhi aaKHir pasheman hue
aap ko bhi gila rah gaya
koi mehman aaya nahin
ghar hamara saja rah gaya
us ne pucha tha kya haal hai
aur main sochta rah gaya
jam kya kya na KHali hue
dard se dil bhara rah gaya
kis ko chhoDa KHizan ne magar
zaKHm dil ka hara rah gaya
ye bhi kuchh kam nahin hai ki dil
gard-e-gham se aTa rah gaya
kaam 'ajmal' bahut the hamein
hath dil par dhara rah gaya
Ghazal
Aur to KHair kya rah gaya
Ajmal Siraj