اردو हिंदी
Aur ek shahr hai kya shahr-e-guman se aage | Shaahi Shayari
aur ek shahr hai kya shahr-e-guman se aage

Ghazal

Aur ek shahr hai kya shahr-e-guman se aage

Alam Khursheed

;

aur ek shahr hai kya shahr-e-guman se aage
hum ko jaana hai bahut dur yahan se aage

gardish-e-pa kisi manzil pe Thaharti hi nahin
dil magar baDhta nahin ku-e-butan se aage

gunjti rahti hain sahil ki sadaen har-dam
hum ne dekha hi nahin mauj-e-rawan se aage

muddaa apna kisi shaKHs pe zahir na hua
koi jata hi nahin tarz-e-bayan se aage

zaKHm qael hon bhala chaaragari ke kaise
saf-e-dushman hai saf-e-chaara-garan se aage

be-sabab hum se KHafa ho gai duniya 'alam'
hum ne likkha hai kahan qissa-e-jaan se aage