aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche
jis jagah pahunchna tha hum wahan nahin pahunche
hijr ki masafat mein sath tu raha har dam
dur ho gae tujh se jab tere qarin pahunche
taer-e-talab ki hai har uDan us dar tak
na-murad dil ka har rasta wahin pahunche
ruKH kare idhar ka hi har azab duniya ka
aasman se jo utre wo bala yahin pahunche
har dil o nazar mein ho ek nikhaar sa paida
bad-guman zehnon tak nemat-e-yaqin pahunche
Ghazal
Aur hi kahin Thahre aur hi kahin pahunche
Ikram Mujeeb