attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai
sone ki muqabil mein har samt hi miTTi hai
tu sahab-e-qudrat hai tu apna karam rakhna
sahra ki taraf mail haalat ki kashti hai
raushan hai daraKHshan hai ye daur ba-zahir to
mazdur ke bas mein to bas riDh ki haDDi hai
lamhon ki taaqub mein sadiyon ki dharohar thi
afsos ke daman mein ghurbat ki ye basti hai
wo sahab-e-masnad hain is se unhen kya matlab
jazbon ke darichon se jari koi naddi hai
har KHwab shikasta hai tamir-e-nasheman ka
har subh ke mathe par bazar ki garmi hai
kuchh aur masail se uljhega abhi 'alam'
har sahib-e-alam pe chhai abhi masti hai
Ghazal
Attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai
Afroz Alam