ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai
hua hai kaun nam-zad nazar nazar ki baat hai
gul o sitara o qamar sabhi hasin hain magar
hai kaun in mein mustanad nazar nazar ki baat hai
izafi e'tibar hai tayyun-e-maqam bhi
hai past bhi buland-qad nazar nazar ki baat hai
bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai
zamin agarche bistar-e-gul-o-saman bhi hai magar
kisi ko hai yahi lahad nazar nazar ki baat hai
koi chale tamam umr koi sirf do qadam
kahan hai manzilon ki had nazar nazar ki baat hai
Ghazal
Ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai
Akbar Hyderabadi