اردو हिंदी
Ata-e-abr se inkar karna chahiye tha | Shaahi Shayari
ata-e-abr se inkar karna chahiye tha

Ghazal

Ata-e-abr se inkar karna chahiye tha

Yasmeen Hameed

;

ata-e-abr se inkar karna chahiye tha
main sahra thi mujhe iqrar karna chahiye tha

lahu ki aanch deni chahiye thi faisle ko
use phir naqsh-bar-diwar karna chahiye tha

agar lafz o bayan sakit khaDe the dusri samt
hamin ko ranj ka izhaar karna chahiye tha

agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki
to phir sae se apne pyar karna chahiye tha

samundar ho to us mein Dub jaana bhi rawa hai
magar dariyaon ko to par karna chahiye tha

dil-e-KHush-fahm ko subh safar ki raushni mein
shab-e-gham ke liye tayyar karna chahiye tha

shikast-e-zindagi ka aks ban kar rah gaya hai
wahi lamha jise shahkar karna chahiye tha