asir-e-dasht-e-bala ka na majra kahna
tamam puchhne walon ko bas dua kahna
ye kahna raat guzarti hai ab bhi aankhon mein
tumhaari yaad ka qaem hai silsila kahna
ye kahna ab bhi sulagta hai jism ka chandan
tumhaara qurb tha ek shola-e-hina kahna
ye kahna chand utarta hai baam par ab bhi
magar nahin wo shab-e-mah ka maza kahna
ye kahna masnad-e-shaKH-e-numu pe tha jo kabhi
wo phul surat-e-KHushbu bikhar gaya kahna
ye kahna qarya-e-jaan mein hain dam-ba-KHud sab log
tamam shahr hua maqtal-e-nawa kahna
ye kahna hasrat tamir ab bhi hai dil mein
bana liya hai makan to makan-numa kahna
ye kahna hum ne hi tufan mein Dal di kashti
qusur apna hai dariya ko kya bura kahna
ye kahna ho gae hum itne maslahat-andesh
chale jo lu to use abhi KHunuk hawa kahna
ye kahna haar na mani kabhi andheron se
bujhe charagh to dil ko jala liya kahna
ye kahna tum se bichhaD kar bikhar gaya 'tishna'
ki jaise hath se gir jae aaina kahna
Ghazal
Asir-e-dasht-e-bala ka na majra kahna
Alamtaab Tishna