ashkon mein qalam Dubo raha hai
fankar jawan ho raha hai
maqtal ke dikha raha hai manzar
kaghaz ko lahu se dho raha hai
zalim ko sikha raha hai insaf
patthar mein daraKHt bo raha hai
parbat se laDa raha hai aankhen
miTTi se tulua ho raha hai
haari hui raat ka sawera
ghunchon ki jabin bhigo raha hai
zarre ko bana ke ek quwwat
KHud apna maqam kho raha hai
lohe ko ajal ki dhaar de kar
KHud is ka shikar ho raha hai
mahlon mein nahin kisi ko aaram
foot-path pe koi so raha hai
chhuta nahin Dar se phul koi
kanTon ko koi piro raha hai
KHandan hain gali gali sitare
ghar ghar ka charagh ro raha hai
sine mein koi KHayal 'zulfi'
suiyan si chubho chubho raha hai

Ghazal
Ashkon mein qalam Dubo raha hai
Saif Zulfi