ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye
rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya
kam-az-kam ehtijaj-e-KHudai hai roiye
taslim kar liya hai jo KHud ko charagh-e-haq
duniya qadam qadam pe sabai hai roiye
KHush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-pai hai roiye
hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein
ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
Ghazal
Ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
Abbas Qamar