ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane
TuT kar bikhren ye moti to uThae na bane
qahr hai apne liye soz-e-darun ka aalam
dekhna gar koi chahe to dikhae na bane
kis tarah hath uThaun main dua ki KHatir
hath ek pal bhi to sine se haTae na bane
qissa-e-hasrat-e-dil hum se bayan kya hoga
be-ruKHi un ki hai aisi ki batae na bane
zulm ko zulm samajhta hai kahan wo zalim
haal-e-dil apna sitamgar ko sunae na bane
kaun si baat thi kya tarz-e-ada thi 'anjum'
naqsh aisa hua dil par ki miTae na bane

Ghazal
Ashk palkon pe jo aaen to chhupae na bane
Mushtaq Anjum