ashk-dar-ashk wahi log rawan milte hain
KHwab ki ret pe jin jin ke nishan milte hain
mere diwan ke mathe pe ye kis ne likkha
KHun mein bhige waraq sare yahan milte hain
main ne ek shaKHs se ek bar yun hi puchha tha
aap ki tarah hasin log kahan milte hain
ek muddat se use log ufuq kahte hain
ek muddat se kai dariya jahan milte hain
ek wo dil jahan mahbub raha karta hai
pas us dil ke kahin allah-miyan milte hain
jin nigahon mein mohabbat ke makin hote hain
un nigahon mein hi KHushbu ke makan milte hain
Ghazal
Ashk-dar-ashk wahi log rawan milte hain
Tripurari