اردو हिंदी
Ashk aaya aankh mein jalta hua | Shaahi Shayari
ashk aaya aankh mein jalta hua

Ghazal

Ashk aaya aankh mein jalta hua

Fazil Ansari

;

ashk aaya aankh mein jalta hua
aaj soz-e-gham ka andaza hua

zindagi guzri ummid-o-yas mein
dil kabhi gulshan kabhi sahra hua

zikr-e-zulf-e-yar rahne do abhi
masala hai zist ka uljha hua

ban gaya daman mein wo aansu guhar
jo na meri aankh ka tara hua

barha ruk ruk gai nabz-e-jahan
husn ka jadu hai kya chalta hua

gardishon se kya mujhe dega najat
jam KHud gardish mein hai aaya hua

dil wo kya jo gham se ho na-ashna
gham wo kya jis ka ki andaza hua

hum pareshan-haal 'fazil' se mile
hai tabiat ka bahut suljha hua