ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha
ishq se pahle kisi taur taqaza to na tha
apne hi saya se Darta hun ilahi tauba
is tarah se kabhi andesha-e-farda to na tha
un se pahle bhi chaman mein thi sahar ki raunaq
baad-e-sarsar ki jawani ka nazara to na tha
pahle bhi chand sitare the falak par maujud
gesu-e-shab ko bahaaron ne sanwara to na tha
jaane kyun aankhon mein aate hain simaT kar aansu
sochta hun kahin gardish mein sitara to na tha
yaad aate hi baDha un se mulaqat ka shauq
uTh gae KHud hi qadam dil mein irada to na tha
main ne mai-KHane ke har jam mein garmi pai
jaane kya chiz thi paimanon mein baada to na tha
ab to har sans pe hota hai guman-e-dhaDkan
dard uThta hi raha hai magar aisa to na tha
aankh jhapki thi 'KHizar' nabz ruki thi ek dam
kuchh bhi kah lijiye wo dost ka jalwa to na tha

Ghazal
Ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha
Khizr Barni