ashk aankhon mein liye aaThon pahar dekhega kaun
hum nahin honge to teri rahguzar dekhega kaun
shama bhi bujh jaegi parwana bhi jal jaega
raat ke donon musafir hain shajar dekhega kaun
sone aur chandi ke bartan ki numaish hai yahan
main hun kuza-gar mera dast-e-hunar dekhega kaun
jis qadar Duba hua hun KHud main apne KHun mein
KHud ko apne KHun mein yun tar-ba-tar dekhega kaun
har taraf maqtal mein hai chhai hui viraniyan
neza-e-baatil pe aaKHir mera sar dekhega kaun
mere zahir par nigahen sab ki hain 'afzal' magar
mere andar jo chhupa hai wo guhar dekhega kaun
Ghazal
Ashk aankhon mein liye aaThon pahar dekhega kaun
Afzal Allahabadi