ashk aa aa ke meri aankhon mein tham jate hain
jab wo kahte hain abhi to nahin hum jate hain
sikka apna nahin jamta hai tumhaare dil par
naqsh aghyar ke kis taur se jam jate hain
koi dam ka hi damama hai nahin dam hamdam
pas-e-anfas nahin dam mein ye dam jate hain
marg-e-ushshaq nahin zinda-e-jawed hue
yar se hone ham-aghaosh-o-baham jate hain
us jafa-kesh ko hai aaj talash-e-ushshaq
shauq-e-didar mein mushtaq-e-sitam jate hain
hind ke KHak-basar 'saqi' hain ahl-e-baatin
kaba-e-dil mein pae-tauf-e-haram jate hain
Ghazal
Ashk aa aa ke meri aankhon mein tham jate hain
Pandit Jawahar Nath Saqi