asar aah ka gar dikhaenge hum
abhi khinch kar tum ko laenge hum
zara rah tu ai dasht-e-awargi
tera KHub KHaka uDaenge hum
fasana teri zulf-e-shab-rang ka
baDhega jahan tak baDhaenge hum
wahi dard-e-furqat wahi intizar
bhala mar ke kya chain paenge hum
wo gumrah ghairon ke hamrah hai
use rah par kyun ki laenge hum
qafas se hua izn-e-parwaz kab
ye KHwahish hi dil se uDaenge hum
tilism-e-mohabbat hai aashiq ka haal
unhen bhi ye qissa sunaenge hum
wo naKHwat se hain aasman se pare
kahan se unhen DhunDh laenge hum
na kar aah ye shorish-afzaiyan
tujhe bhi kabhi aazmaenge hum
na TuTega sar-rishta-e-iKHtilat
wo khinchenge jitna baDhaenge hum
ye mana ki ho rashk-e-hur-o-pari
magar aadamiyat sikhaenge hum
hazar tir-e-mizhgan ki bochhaD se
ye ek dil kahan tak bachaenge hum
hamein zahr-o-KHanjar ki kyun hai talash
shab-e-gham mein kya mar na jaenge hum
na nikla koi Dhab to ban kar ghubar
nazar mein tumhaari samaenge hum
kahan ghar mein muflis ke farsh-o-farosh
wo aae to aankhen bichhaenge hum
tere qad se ki sarw ne ham-sari
use aaj sidha banaenge hum
nahin ghusl-e-mayyat ki ja qatl-gah
magar KHak-o-KHun mein nahaenge hum
rah-e-ishq se na-balad hai abhi
KHizar ko ye rasta bataenge hum
hua wasl bhi to maza kaun sa
wo ruThenge har dam manaenge hum
shab-o-roz dil ko kureden na kyun
yahin se pata us ka paenge hum
abas hai ye 'majruh' tul-e-amal
bakheDe ye sab chhoD jaenge hum
Ghazal
Asar aah ka gar dikhaenge hum
Meer Mehdi Majrooh