اردو हिंदी
Arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya | Shaahi Shayari
arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

Ghazal

Arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya

Jafar Shirazi

;

arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya
aandhi chali to sham ka chehra utar gaya

tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao
main mauj mein nahin hun ki dariya utar gaya

kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe
jin paniyon mein us ne utara utar gaya

ek kashmakash mein ab hain samundar paDe hue
sahra ki tah mein phir koi pyasa utar gaya

bikhra paDa hai KHak pe yun chandni ka jism
jaise meri hi ruh mein tesha utar gaya

'jafar' kabhi na ye mere wahm-o-guman mein tha
main aur us ke dhyan se aisa utar gaya