اردو हिंदी
Arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa | Shaahi Shayari
arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa

Ghazal

Arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa

Majid Siddiqui

;

arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa
bandagi mein kya se kya ye sar nigun karna paDa

minnat-e-sahil bhi sar le li bhanwar mein Dolte
han ye hila bhi hamein bahr-e-sukun karna paDa

samne us yar ke bhi aur sar-e-darbar bhi
ek ye dil tha jise har bar KHun karna paDa

hum ki the ahl-e-safa ye raaz kis par kholte
qafile ka sath aaKHir tark kyun karna paDa

KHam na ho paya to sar hum ne qalam karwa liya
wun na kuchh 'majid' hua hum se to yun karna paDa