اردو हिंदी
Arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen | Shaahi Shayari
arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen

Ghazal

Arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen

Ibn e Insha

;

arsh ke tare toD ke laen kawish log hazar karen
'mir' ki baat kahan se paen aaKHir ko iqrar karen

aap ise husn-e-talab mat samjhen na kuchh aur shumar karen
sher ek 'mir' faqir ka hum jo aap ke gosh guzar karen

aaj hamare ghar aaya lo kya hai jo tujh pe nisar karen
illa khinch baghal mein tujh ko der talak hum pyar karen

kab ki hamare ishq ki naubat qais se aage ja pahunchi
rasman log abhi tak us marhum ka zikr azkar karen

durj-e-chashm mein ashk ke moti le jaane hain un ke huzur
chokha rang lahu ka de kar aur unhen shahwar karen

din o dil o jaan sab sarmaya jis mein apna sarf hua
ishq ye karobar nahin kya aur jo karobar karen

jitne bhi dil-rish hain us ke sab ko name bhej bula
us be-mehr wafa dushman ki yaadon ka darbar karen