aql se hasil hui kya kya pashimani mujhe
ishq jab dene laga talim-e-nadani mujhe
ranj degi bagh-e-rizwan ki tan-asani mujhe
yaad aaega tera lutf-e-sitam-rani mujhe
meri jaanib hai muKHatib KHas kar wo chashm-e-naz
ab to karni hi paDegi dil ki qurbani mujhe
dekh le ab kahin aa kar jo wo ghaflat-shiar
kis qadar ho jae mar jaane mein aasani mujhe
be-naqab aane ko hain maqtal mein wo be-shak magar
dekhne kahe ko degi meri hairani mujhe
sainkaDon aazadiyan is qaid par 'hasrat' nisar
jis ke bais kahte hain sab un ka zindani mujhe
Ghazal
Aql se hasil hui kya kya pashimani mujhe
Hasrat Mohani