aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha 
ishq ko manzil-e-pasti se guzar jaana tha 
jalwe the halqa-e-sar dam-e-nazar se bahar 
main ne har jalwe ko paband-e-nazar jaana tha 
husn ka gham bhi hasin fikr hasin dard hasin 
un ko har rang mein har taur sanwar jaana tha 
husn ne shauq ke hangame to dekhe the bahut 
ishq ke dawa-e-taqdis se Dar jaana tha 
ye to kya kahiye chala tha main kahan se hamdam 
mujh ko ye bhi na tha malum kidhar jaana tha 
husn aur ishq ko de tana-e-bedad 'majaz' 
tum ko to sirf isi baat par mar jaana tha
        Ghazal
Aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha
Asrar-ul-Haq Majaz

