aql gahwara-e-auham hui jati hai
har tamanna meri nakaam hui jati hai
bais-e-shorish-e-kaunain hai insan ki KHudi
be-KHudi morid-e-ilzam hui jati hai
apne parwanon ko ai sham-e-musalsal na jala
zindagi waqif-e-anjam hui jati hai
har rawish par chaman-e-dahr mein yun gul na khila
har nazar dil ke liye dam hui jati hai
yun bhi koi ruKH-e-raushan se uThata hai naqab
har nazar morid-e-ilzam hui jati hai
kin fazaon mein ziya-rez hai ai mehr-e-jamal
KHana-e-dil mein mere sham hui jati hai
ho ke majbur musalsal gham-o-andoh se 'naz'
zindagi gharq-e-mai-o-jam hui jati hai

Ghazal
Aql gahwara-e-auham hui jati hai
Naaz Muradabadi