aql daKHil ho gai hai wahm ke maidan mein
aasman bani bhi hai ab halqa-e-imkan mein
aql-o-dil ka samna tha dida-e-hairan mein
main khaDa sahil pe tha wo halqa-e-tufan mein
KHuld se duniya mein aate dam kahan malum tha
ranj-o-gham so bandh rakkhe hain mere saman mein
dhund chhaT jaegi waiz chaar din mein dekhna
Dub jaenge tere qisse mere elan mein
kufr aur ilhad ki na-KHubiyon ki bhiD mein
koi KHubi bhi to hogi chin mein japan mein
main hujum-e-gham mein marta tha na jita tha 'said'
wo nazar aae to chande jaan aai jaan mein

Ghazal
Aql daKHil ho gai hai wahm ke maidan mein
Saeed Ahmad Akhtar