apnon ki TuTti hui taswir dekh li
aghyar ki bhi chah mein tasir dekh li
aaya nahin hai hosh nigahon ko ab talak
bikhre hue jo KHwabon ki tabir dekh li
kya mangta main teri pashemani ka subut
aankhon se bahte ashkon mein tazir dekh li
ab tak dikhe parinde asir-e-qafas magar
sayyaad ke bhi hath mein zanjir dekh li
tha jis ke pech-o-KHam pe ye sara jahan fida
lo hum ne bhi wo zulf-e-girah-gir dekh li
'naqid' hai be-zaban khaDa dar pe nama-bar
chehre pe us ke aap ki tahrir dekh li
Ghazal
Apnon ki TuTti hui taswir dekh li
Aditya Pant u0027Naaqidu0027