apni tanhai ki palkon ko bhigo lun pahle
phir ghazal tujh pe likhun baiTh ke ro lun pahle
KHwab ke sath kahin kho na gai ho aankhen
jab uThun so ke to chehre ko TaTolun pahle
mere KHwabon ko hai mausam pe bharosa kitna
baad mein phul khilen haar piro lun pahle
dekhna hai wo KHafa rahta hai mujh se kab tak
main ne socha hai ki is bar na bolun pahle
doston ne mujhe wo dagh diye hain 'qaisar'
wo bhi aa jaen to darwaza na kholun pahle
Ghazal
Apni tanhai ki palkon ko bhigo lun pahle
Qaisar-ul-Jafri