apni tanhai ka saman uTha lae hain
aaj hum 'mir' ka diwan uTha lae hain
in dinon apni bhi wahshat ka ajab aalam hai
ghar mein hum dasht-o-bayaban uTha lae hain
wusat-e-halqa-e-zanjir ki aawaz ke sath
hum wo qaidi hain ki zindan uTha lae hain
mere sanson mein koi gholta rahta hai alaw
apne sine mein wo tufan uTha lae hain
ek nae tarz pe aabaad karenge us ko
hum tere shahr ki pahchan uTha lae hain
zindagi KHud se mukarne nahin denge tujh ko
apne hone ke sab imkan uTha lae hain
hum ne nuqsan mein imkan ko rakkha hi nahin
jitne mumkin the wo nuqsan uTha lae hain
kuchh to 'shahid' ko bhi nisbat rahi hogi us se
wo jo TuTa hua gul-dan uTha lae hain
Ghazal
Apni tanhai ka saman uTha lae hain
Shahid Kamal