apni sari kawishon ko raegan main ne kiya 
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya 
sar pe jab saya raha koi na dauran-e-safar 
us ki yaadon ko phir apna saeban main ne kiya 
ab yahan par sans tak lena mujhe dushwar hai 
kis tamanna par zamin ko aasman main ne kiya 
lamha lamha waqt ke hathon kiya KHud ko supurd 
sab ganwa baiTha to phir fikr-e-ziyan main ne kiya 
jab na us ke aur mere darmiyan kuchh bhi raha 
KHud ko hi phir us ke apne darmiyan main ne kiya 
donon chup the zor se chalti hawa ke samne 
phir achanak KHushk patton ko zaban main ne kiya
 
        Ghazal
Apni sari kawishon ko raegan maine kiya
Azad Gulati

