اردو हिंदी
Apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun | Shaahi Shayari
apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun

Ghazal

Apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun

Sharar Fatehpuri

;

apni rudad kahun ya gham-e-duniya likkhun
kaun si baat kahun kaun sa qissa likkhun

bab-e-tahrir mein hai lauh-o-qalam par tazir
barg-e-sada hi pe ab harf-e-tamanna likkhun

sham to sham thi ab subh ka manzar dekho
kis ki main hajw kahun kis ka qasida likkhun

us sitam pesha ka eajaz-e-sitam hi hoga
dast-e-qatil ko agar dast-e-masiha likkhun

itni be-rabt hai tafsil-e-gham-e-zist 'sharar'
KHud samajhne ke liye is ka KHulasa likkhun