apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga
jo musafir tere kuche se guzarta hoga
aaj Thahra hai mera harf-e-wafa qabil-e-dar
kal tu hi meri wafaon ko tarasta hoga
zabt ka had se guzarna bhi hai ek sail-e-bala
dard kya hoga agar had se guzarta hoga
us ki tarif mein jab koi kahi jae ghazal
kuchh na kuchh rang qaside ka jhalakta hoga
kushta-e-zabt-e-fughan naghma-e-be-saz-o-sada
uf wo aansu jo lahu ban ke Tapakta hoga
sher ban kar mere kaghaz pe jo aaya hai lahu
ashk ban kar tere daman se ulajhta hoga
hain jo larzan mah-o-anjum ki shuaen 'aKHgar'
koi betab falak par bhi taDapta hoga

Ghazal
Apni nazron ko bhi diwar samajhta hoga
Haneef akhgar