apni lau mein koi Duba hi nahin
chand ehsas ka ubhra hi nahin
koi aahaT na koi naqsh-e-qadam
jaise dil se koi guzra hi nahin
chur aaina-e-ayyam bhi hai
mera mazi mera farda hi nahin
dars main bhi hun zamane ke liye
ek ibrat-gah-e-duniya hi nahin
kitni sadiyon pe rukega ja kar
ek lamha ki jo bita hi nahin
kitna hairan hai dahan-e-taswir
aks aawaz ka utra hi nahin
main bhi tha shahr-e-suKHan ka mear
mere naqqad ne parkha hi nahin
yun chamakti hai 'samad' kahkashan
jaise tara koi TuTa hi nahin

Ghazal
Apni lau mein koi Duba hi nahin
Samad Ansari