apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna
lekin shahar ki KHamoshi bhi dhyan mein rakhna
mere jhuT ko kholo bhi aur tolo bhi tum
lekin apne sach ko bhi mizan mein rakhna
kal tariKH yaqinan KHud ko dohraegi
aaj ke ek ek manzar ko pahchan mein rakhna
bazm mein yaron ki shamshir lahu mein tar hai
razm mein lekin talwar ko miyan mein rakhna
aaj to ai dil tark-e-talluq par tum KHush ho
kal ke pachhtawe ko bhi imkan mein rakhna
us dariya se aage ek samundar bhi hai
aur wo be-sahil hai ye bhi dhyan mein rakhna
is mausam mein gul-danon ki rasm kahan hai
logo ab phulon ko aatish-dan mein rakhna
Ghazal
Apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna
Ahmad Faraz