apni hi aawargi se Dar gae
bas mein baiThe aur apne ghar gae
sari basti raat bhar soi nahin
aasman ki samt kuchh patthar gae
sab tamasha sari duniya dekh li
us gali se ho ke apne ghar gae
bich mein jab aa gai diwar-e-jism
apne sae se bhi hum bach kar gae
aur kya loge hamara imtihan
zindagi di thi sau wo bhi kar gae
aap ne rakkha meri palkon pe hath
mera sina motiyon se bhar gae
kuchh KHarida hum ne dekho kuchh nahin
hum bhi is bazar se ho kar gae
'mushaf' us ko bewafa kahte ho tum
aur jo ilzam us ke sar gae
Ghazal
Apni hi aawargi se Dar gae
Mushaf Iqbal Tausifi