apni be-chehragi bhi dekha kar
roz ek aaina na toDa kar
tu jidhar jae din nikal aae
raushni ka mizaj paida kar
ye sadi bhi kahin na kho jae
apni marzi ka koi lamha kar
dhup mein istiara baadal ka
tu agar hai to yar saya kar
chaara-sazi to kar rahe hain gham
tu mere aansuon ka sauda kar
jaane kab chhoD kar chali jae
zindagi ka na yun bharosa kar
masale hain to hal bhi niklenge
pas aa sath baiTh charcha kar
Ghazal
Apni be-chehragi bhi dekha kar
Nusrat Mehdi