apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
jo bhi naqd-e-jaan luTane aae hum se aa mile
ab wafa ki rah par har samt sannaTa mile
ahl-e-dil ke karwan kin manzilon se ja mile
lap pe gar naghma nahin palkon pe hi tara mile
gul nahin khilte to koi zaKHm hi khilta mile
rang-o-bu ke pairahan mein phul hain ya zaKHm hain
ab na wo kaliyan na wo patte na wo saya mile
imtihan tha maslahat thi ya meri taqdir thi
main gulistanon ka talib tha mujhe sahra mile
umr-bhar har ek se main ne chhupae dil ke dagh
aaj ye hasrat ki koi dekhne wala mile
main ne jin aankhon mein dekhe the samundar maujzan
un mein jo bhi Dubne wala mile pyasa mile
naz us ka pasban andaz us ka ham-zaban
KHalwaton mein bhi wo mujh se anjuman-ara mile
aaj phir chheDunga main mahtab ki kirnon ke tar
kash imshab to mile ya koi tujh jaisa mile
aankh sau rangon ki talib hosh sau rangon ka zaKHm
dil ko ye zid hai ki teri aarzu tanha mile
ajnabi rahen bhi 'sadiq' ajnabi rahen na thin
jab kisi ke jaane-pahchane nuqush-e-pa mile

Ghazal
Apni aankhon se to dariya bhi sarab-asa mile
Sadique Naseem