apne wahm-o-guman se nikla
main andhere makan se nikla
be-ruKHi dekh ab zamane ki
muddaa kyun zaban se nikla
samt ka gham na tha safine ko
ye alam baadban se nikla
dhup barsa rahi thin talwaren
phir bhi main saeban se nikla
waqt mohlat na dega phir tum ko
tir jis dam kaman se nikla
aa gaya lijiye sahil-e-hasti
main baDe imtihan se nikla
zindagi ka naya mizaj 'niyaz'
dard ke KHandan se nikla
Ghazal
Apne wahm-o-guman se nikla
Abdul Mateen Niyaz