apne sab yar kaam kar rahe hain
aur hum hain ki nam kar rahe hain
tegh-bazi ka shauq apni jagah
aap to qatl-e-am kar rahe hain
dad-o-tahsin ka ye shor hai kyun
hum to KHud se kalam kar rahe hain
hum hain masruf-e-intizam magar
jaane kya intizam kar rahe hain
hai wo bechaargi ka haal ki hum
har kisi ko salam kar rahe hain
ek qattala chahiye hum ko
hum ye ealan-e-am kar rahe hain
kya bhala saghar-e-sifal ki hum
naf-pyale ko jam kar rahe hain
hum to aae the arz-e-matlab ko
aur wo ehtiram kar rahe hain
na uThe aah ka dhuan bhi ki wo
ku-e-dil mein KHiram kar rahe hain
us ke honTon pe rakh ke honT apne
baat hi hum tamam kar rahe hain
hum ajab hain ki us ke kuche mein
be-sabab dhum-dham kar rahe hain
Ghazal
Apne sab yar kaam kar rahe hain
Jaun Eliya