apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun
zindagi meri taraf dekh ki main aaya hun
kisi sunsan jazire se pukaro mujh ko
main sadaon ke samundar mein nikal aaya hun
kaam aai hai wahi chhanw ghani bhi jo na thi
waqt ki dhup mein jis waqt main kumhlaya hun
KHairiyat puchhte hain log baDe tanz ke sath
jurm bas ye hai ki ek shoKH ka ham-saya hun
subh ho jae to us phul ko dekhun ki jise
main shabistan-e-bahaaran se uTha laya hun
asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le
ek miTti hui tahzib ka sarmaya hun
Ghazal
Apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun
Mazhar Imam