apne markaz se agar dur nikal jaoge
KHwab ho jaoge afsanon mein Dhal jaoge
ab to chehron ke KHad-o-KHal bhi pahle se nahin
kis ko malum tha tum itne badal jaoge
apne parcham ka kahin rang bhula mat dena
surKH shoalon se jo kheloge to jal jaoge
de rahe hain tumhein to log rifaqat ka fareb
un ki tariKH paDhoge to dahal jaoge
apni miTTi hi pe chalne ka saliqa sikho
sang-e-marmar pe chaloge to phisal jaoge
KHwab-gahon se nikalte hue Darte kyun ho
dhup itni to nahin hai ki pighal jaoge
tez qadmon se chalo aur tasadum se bacho
bhiD mein sust chaloge to kuchal jaoge
ham-safar DhunDo na rahbar ka sahaara chaho
Thokaren khaoge to KHud hi sambhal jaoge
tum ho ek zinda-e-jawed riwayat ke charagh
tum koi sham ka suraj ho ki Dhal jaoge
subh-e-sadiq mujhe matlub hai kis se mangun
tum to bhole ho charaghon se bahal jaoge
Ghazal
Apne markaz se agar dur nikal jaoge
Iqbal Azeem