apne markaz pe na pura hua chakkar mera
ajnabi hath badalte rahe mehwar mera
mere qalib ki shanasa nahin haiat meri
apne sae se bhi bezar hai paikar mera
mere sine pe to dushman ka koi zaKHm nahin
mere pahlu mein jo utra hai to KHanjar mera
main to ab tak nahin sikha hun zamin par chalna
aur KHalaon mein hai chhaya hua shahpar mera
kis ko baKHsha hai KHudaya meri qismat likhna
kis ke hathon mein diya tu ne muqaddar mera
main wo sultan hun ki ghaTti hai riyasat jitni
utna utna hi baDha karta hai lashkar mera
band-e-gham TuTne wala hai kisi dam 'partaw'
aisa lagta hai chhalakne ko hai saghar mera
Ghazal
Apne markaz pe na pura hua chakkar mera
Partav Rohila