apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the
sang lipTe hue phulon mein nazar aae na the
dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud
is se pahle to kabhi us ke ye pairae na the
chand bikhre hue rezon ke siwa kuchh bhi nahin
sochte hain ki chaTanon se bhi Takrae na the
tu ne KHud roz-e-azal hum se panahen mangin
zindagi hum tujhe daman mein chhapa lae na the
hum ki har daur ki tazin mein rahe hain shamil
ab bhi pachhtae nahin pahle bhi pachhtae na the
Ghazal
Apne mahaul se kuchh yun bhi to ghabrae na the
Afzal Minhas