apne ka hai gunah begane ne kya kiya
is dil ko kya kahun ki diwane ne kya kiya
yan tak satana muj ko ki ro ro kahe tu hae
yaro na tum suna ki fulane ne kya kiya
parda to raaz-e-ishq se ai yar uTh chuka
be-sud hum se munh ke chhupane ne kya kiya
aankhon ki rahbari ne kahun kya ki dil ke sath
kuche ki us ke rah batane ne kya kiya
kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein
patthar se ju-e-shir ke lane ne kya kiya
Tuk dar tak apne aa mere naseh ka haal dekh
main to diwana tha pe siyane ne kya kiya
chahun main kis tarah ye zamane ki dosti
auron se dost ho ke zamane ne kya kiya
kahta tha main gale ka tere ho paDunga haar
dekha na gul ko sar pe chaDhane ne kya kiya
'sauda' hai be-tarah ka nasha jam-e-ishq mein
dekha ki us ko munh ke lagane ne kya kiya
Ghazal
Apne ka hai gunah begane ne kya kiya
Sauda Mohammad Rafi