apne jaanan ko ai jaan isi jaan mein DhunDh
DhunDh mat aur jagah par dil-e-hairan mein DhunDh
DhunDhna us ka bahut sahl bataya hai faqir
jaan mein apni use lunga main ek aan mein DhunDh
jis taraf dekho usi ka hai jhamkaDa wallah
talib allah ka leta hai har ek shan mein DhunDh
chahne wale ka KHud aap chahita hai wo
mah-e-kanan ko liya tha chah-e-kanan mein DhunDh
zahira dekh suKHan-fahm suKHan 'afridi'
ghair-maKHluq suKHan mani-e-quran mein DhunDh

Ghazal
Apne jaanan ko ai jaan isi jaan mein DhunDh
Qasim Ali Khan Afridi