اردو हिंदी
Apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue | Shaahi Shayari
apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue

Ghazal

Apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue

Amjad Islam Amjad

;

apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue
hum hain wo sip jo aazada-e-gauhar na hue

harf-e-be-saut ki manind rahe duniya mein
dasht-e-imkan mein khule naqsh-e-musawwir na hue

phul ke rang sar-e-shaKH-e-KHizan bhi chamke
qaidi-e-rasm-e-chaman KHak ke jauhar na hue

thak ke girte bhi nahin ghar ko palaTte bhi nahin
najm-e-aflak hue aas ke tair na hue

us ki galiyon mein rahe gard-e-safar ki surat
sang-e-manzil na bane rah ka patthar na hue

apni nakaam umidon ke KHam-o-pech mein gum
abr-e-kam-ab the hum rizq-e-samundar na hue