اردو हिंदी
Apne hisse ki ana dun to ana dun kis ko | Shaahi Shayari
apne hisse ki ana dun to ana dun kis ko

Ghazal

Apne hisse ki ana dun to ana dun kis ko

Amit Sharma Meet

;

apne hisse ki ana dun to ana dun kis ko
apni nazron se gira dun to gira dun kis ko

zindagi ka ye meri kaun hai qatil jaane
main hun mushkil mein saza dun to saza dun kis ko

dosti mein bhi hai ranjish ki kahani ki meri
is kahani ko bata dun to bata dun kis ko

muddaton se hain mili Thokaren mujh ko jo yahan
ishq-bazi mein wafa dun to wafa dun kis ko

war sab piTh pe karte hain yun dil mein rah kar
tu bata de main dua dun to dua dun kis ko

baat karti hi nahin ab to ye tanhai bhi
man ki har baat suna dun to suna dun kis ko

har koi jujh raha hai yahan apne gham se
dard-e-gham ki ye dawa dun to dawa dun kis ko

kaun laega meri chiTThiyan KHushiyon wali
apne ghar ka main pata dun to pata dun kis ko

gham mein Duba hua rahta hun main ab har lamha
'mit' ye jam pila dun to pila dun kis ko