اردو हिंदी
Apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte | Shaahi Shayari
apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte

Ghazal

Apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte

Hamid Jeelani

;

apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte
hum aaine ke samne ho kar bhi dekhte

aks-e-falak se TuTta kaise jumud aap
patthar gira ke jhil ke andar bhi dekhte

karte palaT ke apne hi sae se guftugu
sahra mein zard-rang samundar bhi dekhte

duniya ka KHauf tha to lagate na aag hi
ya mom ka pighalta hua ghar bhi dekhte

'hamid' tamam umr ye KHwahish rahi hamein
apne badan ki marg ka manzar bhi dekhte