apne hi bhai ko ham-saya banate kyun ho
sahn ke beach mein diwar lagate kyun ho
ek na ek din to unhen TuT bikharna hoga
KHwab phir KHwab hain KHwabon ko sajate kyun ho
kaun sunta hai yahan kaun hai sunne wala
ye samajhte ho to aawaz uThate kyun ho
KHud ko bhule hue guzre hain zamane yaro
ab mujhe tum mera ehsas dilate kyun ho
apne chehron pe jo KHud aap hi patthar phenken
aise logon ko tum aaina dikhate kyun ho
apni taqdir hai tufanon se laDte rahna
ahl-e-sahil ki taraf hath baDhate kyun ho

Ghazal
Apne hi bhai ko ham-saya banate kyun ho
Mushtaq Aazar Fareedi