apne hamrah mohabbat ke hawale rakhna
kitna dushwar hai ek rog ko pale rakhna
itna aasan nahin band gali mein rahna
shahr-e-tarik mein yaadon ke ujale rakhna
hum ziyaada ke talabgar nahin hain lekin
waqt kuchh bahr-e-mulaqat nikale rakhna
baat kar lenge judai pe kahin baad mein hum
apne honTon pe sar-e-bazm to tale rakhna
kaam aaenge kisi roz tumhaare ye guhar
apne ashkon ko meri jaan sambhaale rakhna
jhil par jaise koi kali ghaTa chha jae
nili aankhon pe ghani palkon ko Dale rakhna
us ko ujDe hue logon se hai ulfat 'shahid'
baal bikhrae hue panw mein chhaale rakhna
Ghazal
Apne hamrah mohabbat ke hawale rakhna
Shahid Fareed